Tumgik
#urdu poetry
om-is-ok · 7 hours
Text
Pov: Now you're on your own so you don't care about anything or anyone because you're tired of life.
Mujhe ab dar nahi lagta —Mohsin Naqvi
kisi ke dur jaane se, taalluq tut jaane se
kisi ke maan jaane se, kisi ke rooth jaane se
mujhe ab dar nahi lagta
kisi ko azmane se, kisi ke azmane se
kisi ko yaad rakhne se, kisi ko bhuul jaane se
mujhe ab dar nahi lagta...
Tumblr media Tumblr media Tumblr media
kisi ko chhod dene se, kisi ke chhod jaane se
na shamaa ko jalane se, na shamaa ko bujhane se
mujhe ab dar nahi lagta
akele muskurane se, kabhi aansu bahane se
na is saare zamane se, haqiqat se fasane se
mujhe ab dar nahi lagta...
Tumblr media Tumblr media Tumblr media
kisi ki na-rasai se, kisi ki parsai se
kisi ki bevafai se, kisi dukh intihai se
mujhe ab dar nahi lagta
na to is paar rahne se, na to us paar rahne se
na apni zindagani se, na ik din maut aane se
mujhe ab dar nahi lagta... —Mohsin Naqvi
Tumblr media Tumblr media Tumblr media
31 notes · View notes
maihonhassan · 3 days
Text
How broken was Sunny Khan Durrani when he wrote:
"Reh raha hoon yahan sirf ghar walon ki khaatir, warna aitraaz nahi agar ruk jayen saansein"
33 notes · View notes
deep-feelings-blog · 4 months
Text
In English, we say: " Overthinking "
But in poetry, we say: " The storms in my head ruined the garden that my soul holds"
6K notes · View notes
peaceishim · 2 months
Text
Tumblr media
I found this on twitter.
(Not mine)
450 notes · View notes
izhaar-e-ishq · 3 months
Text
In English we say:
“Out of all people you misunderstood me”
But in Urdu we say:
“Usay meri baatein ab samajh nahi aati,
Kabhi jo meri khamoshi ki tafseer likha karta tha.”
456 notes · View notes
sanelyinsanemiss · 2 months
Text
"Main nahi chahta woh mere bulaane se aaye,
Main chahta hoon woh reh naa paye aur bahane se aaye."
387 notes · View notes
inkandpaperstuff · 5 months
Text
Wo kehty hain mard ko janam dena ummed hai or aurat ko janam dena mayoosi. Jab ke har mard ka khwab aurat hai or har aurat ki mayoosi mard hai.
They say that giving birth to a man is hope and giving birth to a woman is disappointment. Although, every man's dream is a woman and every woman's disappointment is a man.
[Nazar Qabbani]
512 notes · View notes
blogbyher · 6 months
Text
In English we call them Dark Circles but in urdu
Adhurey khwabo ka qabristan hai ye,
yahan qisse chhupe hai daur-e-hayat ke!
575 notes · View notes
thatanonymousgirl · 2 months
Text
Tumblr media
279 notes · View notes
theqalbofnight · 5 months
Text
Tumblr media Tumblr media Tumblr media
406 notes · View notes
pyaariposting · 9 months
Text
pov : your grief is beloved to you.
"mere gham bohot azeez hain mujhe,
maine inke inaam mein imaan paya hai"
my sorrows are very dear to me, i have found faith in their reward.
~ me
944 notes · View notes
his-heart-hymns · 1 month
Text
5 reasons why you are Mirza Ghalib:
Aapko neend raat bhar nahi aati.
(maut ka ek din muayyan hai,niind kyu raat bhar nahi aati)
Har kisi se Wafa ki ummeed rakhte ho.
(ham ko un se wafa ki hai ummeed,jo nahi jante wafa kya hai)
Aapko ishq ne niqamma kar diya hai.
(ishq ne 'ghalib' nikamma kar diya varna ham bhi aadmi the kaam ke.)
Junoon mai kuch bhi bakte rehte ho.
(bak raha hu junoon me kya-kya,kuchh na samjhe khuda kare koi)
Sab se tawaqqo uth gayi hai.
(jab tavaqqo hi uth gayi 'ghalib',kyu kisi ka gila kare koi)
220 notes · View notes
peerzadafaizan · 4 months
Text
کبھی فرصتوں میں بتاؤں گا، وہ معاملے جو مُجھے کھا گئے۔
Kabhi fursaton main bataonga, wo maamle jo mujhe kha gaye...
362 notes · View notes
komal01 · 8 months
Text
Har raat meri aankhein inhi sochon mein ghum ho jaati hain;
Ke mera maqsad-e-hayaat kya tha,
Aur mujhe thaka kin kaamon ne diya!
544 notes · View notes
creatinganewwlife · 2 months
Text
When Jaun Elia said
“Dil takleef mei hai aur takleef dene vala dil mei.”
211 notes · View notes
inkandpaperstuff · 5 months
Text
Why is it “right person wrong time” and not “har ishq ka aik waqt hota hai, wo hamara waqt nhi tha lekin is ka matlab ye nhi ke wo ishq nhi tha.”
438 notes · View notes